Pilaao Saaqi
Pilaao K Raat Baqi Hai
Tu Hai Saaqi
E Zamana Teri Zaat Hai Yagana
Mjhe Hosh Hi
Na Aey Koi Aisa Jam De Dey
Dair O Haram
Mein Chal Diay Dair O Haram K Log
Jo Rind Thy
Wo Teri Panahon Mein Aa Gaey
Bada E Ishq Pilaao
To Koi Baat Banay
Tishnagi Meri
Bujhaao To Koi Baat Banay
Badal Ki Treh
Jhoom K Lehraa K Piyein Gy
Saqi Tere
Maikhanay Pa Hm Jaa K Piyenge
Dekhenge K
Ata Hai Kidhr Se Gham E Duniya
Saqi Tujhe
Ham Samne Bithlaa K Piyenge
Pilaao Saaqi
Pilaao K Raat Baqi Hai
Chalaao Daur Chalaao
K Raat Baqi Hai
Rahay Na Tishngi
Dil Ki Karam Yei Ho Jaey
Nazar Nazar Se
Milaao K Raat Baqi Hai
Saqi Mujhe
Sharab Ki Tohmt Nahi Pasand
Mujhko Teri
Nigaah Ka Ilzam Chahye
Saqia Mujhko
Teri Mast Nigaho Ki Qasam
Tu Ne Be
Baada Mujhe Mast Bana Rakha Hai
Hon Jo Das
Bees Sharabi To Wo Tauba Kar Len
Shehr Ka
Shehr Hai Dooba Hua Maikhanay Mein
Haaye Yei
Zulf E Pareshan Dekh Kr Mein Chlkta Jam Kese Chor Dn
Ya To Is
Kaali Ghata Ko Rok Lo Ya Ijazat Do K Tauba Tor Dn
Saraa Jahan
Karay Ga Meri Maikashi Pai Rashk
Teri Haseen
Nigaah Agr Jam Ban Gyi
Teri Nazro Ki
Haqeeqat Koi Mujh Se Puchy
Aankh Ki
Aankh Hai Paimanay Ka Paimana
Dekh Lo Tum
To Abi Gulistaan Maikhana Banay
Aankh Jis
Phool Pa Daalo Wohi Paimana Banay
Main Jam
Uthata Hunt U Angraai Ley
Mumkin Hai K
Isi Treh Bahaar Aa Jaey
Kahin Na
Maikada Tareekion Se Chup Jaey
Abhi Na
Shamma Bujhaao K Raat Baqi Hai
Rahay Na Hosh
Mujhe Umr Bhar Ka Aey Saqi
Kuch Is Tarah
Se Pilaao K Raat Baqi Hai
Para Hi Rehne
Do Chokhat Pa Noor Ko Saqi
Isay Na Hosh Mein
Laao K Raat Baqi Hai
No comments:
Post a Comment
You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.