Kehte ho Mujh se Ishq ka afsana chahye



Kehte ho Mujh se Ishq ka afsana chahye

Dil ko apne luta k bethaa hun
Gham ko apna bana k betha hun

Kia khabar muskranay walon ko
Zakhm kia kia chupa k betha hun

Kehty ho mujh se Ishq ka afsana chahaye
Ruswaai ho gi apko sharmana chahye

Khud’dar itni fitrat e rindaana chahye
Saqi bhi Khud kahay koi paimaana chahye

Matti kharab karte ho kyun beemaar e hijr ki
Jo Tum pa mar gya usay dafnana chahye

Aankhon Mein dam ruka hai kisi k liay zaroor

Thak gaye ham krty krty intezar
Ik qayamat tera aana ho gaya

Qasid agr wo puchein to keh dijiye yei haal
Dam hai labon pai ankhen hain dar par lagii hui

Qasid chala to hai khabar e yaar k liay
Itna rahay khyal k aankho’n mei jaan hai

Shab e wada yei rahaa krti hen baatein dil se
K yaar aata hai pehle k qazaa aati hai

Baaghon Mein jhoomti hui aayi bahaar hai
Aaajao k zindagi ka kahaan aitebaar hai

Aankhon Mein dam ruka hai kisi k liay zaroor
Warna mareez e hijr ko mar jana chahye

Wada andheri raat mein aanay ka tha Qamar
Ab chand chup gaya unhein aajana chahaye

No comments:

Post a Comment

You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.