Do jahaan ke Wali ka Naat Lyrics

Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai
Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai
Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai Haleema teri kotya me Kaun muskuraya hai
Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa Lekin mere Aaqa ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai
Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai
Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai
Wadduha ka Chehra hai, Taha ka Sehra hai Unke muskurane se zamana jagmagaya hai
Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai Unko tho Khuda ne Unki marzi se banaya hai

No comments:

Post a Comment

You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.