Do jahaan ke waali ka do jahaan pe saya hea
Un ko to khuda ne un ki marzi se banaya hea
Un ko to khuda ne un ki marzi se banaya hea
Noori noori jalwe hean keise pyaare jalwe hean
Chaand un ke jalwon ki bheek lene aaya hea
Chaand un ke jalwon ki bheek lene aaya hea
Waduha ka chehra hea taaha ka sehra hea
Un ke muskurane se zamana jagmagaya hea
Un ke muskurane se zamana jagmagaya hea
Toor pe kaha rab ne lantarani musa ko
Lekin mere aaqa ko arsh pe bulaya hea
Lekin mere aaqa ko arsh pe bulaya hea
Nabiyon ne salami di valiyon ne ghulami ki
Sar pe un ke khaaliq ne taaj wo sajaya hea
Sar pe un ke khaaliq ne taaj wo sajaya hea
Lete hean dua’en wo karte hean jafa’en wo
Seene se laga’en uss ko jiss ne bhi sitaya hea
Seene se laga’en uss ko jiss ne bhi sitaya hea
Barkaton ke rele hean nooyon ke mele hean
Haleema teri kuttya mean koan muskuraya hea
Haleema teri kuttya mean koan muskuraya hea
No comments:
Post a Comment
You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.