Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey
Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey

Sardaare do ‘aalam ki ta’ziim keh kiyaa kehne
Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey

Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai
Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey

Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko
Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey

Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main
Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey
Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey
No comments:
Post a Comment
You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.