Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga
Zikr-e-RASUUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga
Zikr-e-RASUUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga
WO khud he jaan lain gay, jataaya na jaey ga
Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga
Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga
Hum ko jazaa millay gee MUHAMMAD say Ishq ki
Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga
Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga
Kehtay thay yay Bilal(R.A), tashadud pay kufr kay
Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga
Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga
Bayshak Huzuur Shafa-e-Mehshar hain Munkirou(A.S)
kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga
kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga
Maanay ga UN ki baat, KHUDA hashr may Naseer
Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga
Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga
No comments:
Post a Comment
You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.