Dil dard se bismil Naat Lyrics

Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho
Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho
Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho
Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho
Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho
Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho
Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho
Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho
Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho
Shaabaash Hassan aur chamakti si ghazal parh Dil khol kar aaina e iman ki jilaa ho
De daaliye apnay lab-e-jaan bakhsh ka sadqa Ae chara-e-dil dard-e-hasan ki bhi dawa ho
Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho

No comments:

Post a Comment

You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.