Peer e Kamil By Umeira Ahmed

Almost all of my friends had told me to read this beautiful novel and i found it very interesting and knowledgeable .
Its main theme is about the religion , how we take it ,and what it means to be. If you want to get success you have to give sacrifice for it .
Some of the cut texts as usual which i love from this novel are :-

1."Imaama har insaan ka mizaaj dusray se mukhtalif hota hai , har insan alag tarah se react karta hai " Waseem ne teyzi se kaha . Imaama ne qaail na honay walay andaaz main sar hilaya .
" Main Har insaan ki baat nahi kar Rahi hn , Main Nabi ki baat kar rahi hn , Jo shakhs apnay ghussay par qaabu nahi rakh sakta , woh nabuwwat ka daawa kaisay kar sakta hai. Jis Shakhs ki zuban se gaaliyan nikalti hn , Iss ki zubaan se Haq-o-Sadaqat ki bat nikal sakti hai ? Waseem mujhayt apnay mazhab aur aqeeday k baray main uljhan si hai  "

(Page 85 chapter 2)

2."Kya puchtay ho tum logon se ?"
"Boht asaan sa sawaal hai magar har aik ko mushkil lagta hai ." What is next to ecstasy , us ne gardan mor kar Imaama se pucha .
Woh kuch dair issay dekhti rahi phir iss ne madham awaaz main kaha "Pain".
"And what is next to pain? " Salaar ne bila tawaqquf aik aur sawal kiya .
"Nothingness "
"What is next to nothingness?"Salaar ne isi andaaz main aik aur sawal kiya .
"Hell". Imaama ne kaha .
"And what is next to hell" Iss baar Imaama khamoshi se is ka chehra dekhti rahi .
"And what is next to hell" Salaar ne phir apna sawaal duhraya .
"Tumhein Khauf nahi aata" Salaar ne Imaama ko qadray ajeeb se andaz se puchtay suna .
"Kis chez se " Salaar hiaran hua .
" Hell se ........ Iss jaga se jis ke agay aur kuch bhi nahi hota .... Sab Kuch iss k peechay hi reh jata hai .... Ma'tuub aur Magh'zuub ho janay k baad baqi bachta  kya hai jissay jannay ka tumhein tajassus hai "

(Page 180  Chapter 3) 


3."Zindagi main ham kabhi na kabhi is maqam par aa jatay hain , jahan saray rishtay khatam ho jatay hn . Wahan sirf ham hotay hain aur Allah hota hai . Koi Maa Baap , Koi Behn Bhai , Koi Dost nahi hota . Phir hamein pta chalta hai k , hamaray pairoon k  nechay zameen hai Naa hamaray sar k uper koi Aasmaan , Bas Sirf aik Allah hai . Jo hamein iss Khilaa main thaamay huay hai . Phir pta chalta hai , hum zameen par pari matti k dheir main aik zarray ya darakht par lagay huay aik pattay se zyada wuqqat nahi rakhtay , phir pata chalta hai k hamaray honay ya na honay se sirf hamein farq parta hai . Sirf Hamara kirdaar khatam ho jata hai . Qainaat main koi tabdeli nahi aati , Kisi cheez par koi asar nahi parta ."


(Page 253  chapter 4)

1 comment:

You can comment here and report if there is anything on blog which you donot like.